Amjad Sabri Ki Akhri Naat With Lyrics| aye sabze gumbad wale manzur dua karna jab waqte naza aye didar ata karna |

DailyMotion




Amjad sabri Last naat of his life and died

                                       Lyrics

aye sabz gumbad wale manzoor dua karna
jab waqt e naza aaye deedar ataa karna

aye noor e khuda aa kar, ankho me sama jana
ya dar pe bula lena, ya khawab me aa jana
aye parda nasheen dil ke, parde me raha karna
jab waqt e naza aaye deedar ataa karna
aye sabz gumbad walay, manzoor dua karna
jab waqt e naza aaye, deedar ataa karna

mai qabr andheri me, ghabraunga jab tanha
imdaad meri karne, aa jana mere aaqa
roshan meri turbat ko, aye noor e khuda karna
jab waqt e naza aaye deedar ataa karna

aye sabz gumbad wale, manzoor dua karna
jab waqt e naza aaye, deedar ataa karna

mujrim hu jaha bhar ka, mehshar me bharam rakhna
rusva e zamana hoo, daman me chupa lena
maqbool yeh aarz meri, lillah zara karna
jab waqt e naza aaye, deedar ataa karna

aye sabz gumbad wale, manzoor dua karna
jab waqt e naza aaye, deedar ataa karna

chehre se ziya payi, inn chand sitaro ne
us dar se shifa paaye, dukh dard ke maaron ne
aataa hai unhe sabir, har dukh ki dawa karna
jab waqt e naza aaye, deedar ataa karna

aye sabz gumbad wale, manzoor dua karna

jab waqt e naza aye, deedar ataa karna


Post a Comment

Distributed by Mr. Rehman | Designed by Abdur Rehman